Truecaller ek aise
application hai jo aaj puri duniya me use ho raha hai. Aapke mobile par dinbhar
bahut se logo ke phone aate honge usme kuch number hota hai jinhe aap jante hai
aur bahut se aise hote hai jo bilkul unknown hota hai yani ki vo aapke phone ke
contacts me save nahi rehta hai. Jab kabhi kisi anjaan mobile(unknown) number
se aapke mobile pe call aati hai to aap yeh chahte hai ki vo mobile number kis
ke naam se hai aur uska location kya hai vo malum kar sake aur iske liye aaj ke
samay me sabse asaan sa upay hai Truecaller.
Truecaller ek aise application
hai jisse aap apne mobile me install karke kisi bhi unknown number se aaye call
ki jankari le sakti hai jaise ki vo number kis ke naam se hai aur uska location
kya hai. Agar aapke pas mobile phone nahi hai to aap apne computer me bhi iska
use kar sakte hai yani ki iss app ka web aur smartphone dono me use kiya ja
sakta hai
Truecaller application
True Software Scandinavia AB company ke dwara 2009 me develop kiya gaya tha.
Truecallers banane ke sabse bada main udesh hai ki globally pure world ka
phone number isme maujud rahe jis ki madad se aane wale unkown caller ke
bare me jan sake jo hamre mobile phone ke contacts me save nahi rehte hai aur
iske sath hi call-blocking features ka benfit le sake. Aaj puri duniya me call indentification
ke liye sabse jyada Truecaller ka use ho rha hai. Aaj iska upyog lagbhag
250 million users ke dwara puri duniya me ki ja rahi hai.
Truecaller Ke Features
Kya Hai ?
Abhi tak apne ye jana
hai ki Truecaller kya hai aur isse kyun use karna chahiye. Ab hum janenge ki
Truecaller app ke features kya kya hai.
Truecaller ke features
list kuch is prakar se hai.
- Call ko block kar sakte hai. - Agar kabhi lagta hai ki koi anjaaan number se
aapko bar bar pareshan kar raha hai to aap usse block kar sakte hai.
- Bina Internet ke Jaane Kaun
Call kar raha hai -
Jaruri nahi hai ki hamesha data connection aapke phone me active rehna
chahiye. Ek baar kisi number ka pehchan ho jane ke baad agli bar se ye
caller ki jankari aapko de dega.
- Smart call history : Jab kisi anjaan number se aapke phone par call
aata hai to truecaller us number ko profile pic aur uske real name me
badal kar dikhata hai.
- Spammers se khud ko bacha sakte
hai - Jab aapke number par
call aati hai to aap dekh sakte hai ki usse kis ne spam mark kiya hua ya
nahi. Agar aap ko sahi nahi lagta hai to aap call nahi le kar apna kimti
samay bacha sakte hai.
- Search box se anjaan number ka
pata laga sakte hai -
Truecaller app ya iski website pe ek search box diye rehta hai jisme aap
kisi naam ya uska mobile number se uske naam aur location ki jankari paa
sakte hai.
- Khud ka profile bnana - aap truecaller website ya app ka use kar ispe
apne mobile number se profile bana sakte hai. Aap is par apna profile
picture bhi laga sakte hai.
- Truecaller se number ko hatana : Aap Truecaller ke database se apne number ko hata bhi
sakte hai. Truecaller aapko number hatane ka feature deta hai.
Dosto truecaller ke
features ke baare me jankar abhi tak aap ye samajh gaye honge ki Truecaller app
smartphone ke liya kitna jyada jaruri hai.
Truecaller me anjaan
number Ka Naam aur Location Kaise Dekhe?
Upar aapne padha ki agar
kisi anjaan number se pahle baar aapke mobile phone par call aata hai aur aapke
data connectivity chalu hai to aapko uska naam apne aap dikhai deta hai. Aur aage
se internet disconnect hone par bhi us number se call aane par vahi naam dikhta
hai.
Agar aap speciallly kisi
anjaan number ke user ka naam aur location pata karna chate hai t o niche diye
gaye steps ko follow kare.
1.
Sabse pehle aap
Truecaller app open kare.
2.
Ab aap login kare. Aap
gmail id se direct login ho sakte hai.
3.
Ab aapko search box me
aapko us anjaan number ko likhna hai jiske details aap pana chahte hai.
4.
Search icon par click
kare.
5.
Ab aapke samne us number
ki details aa jayegi. Jaise ki vo mobile number kaun se operator ka hai , kis
ke naam se hai aur uska location kya hai.
Umeed karta hu ki upar
di gay jankari se aap ab tak jaan chuke honge ki Truecaller kya hai aur isko
kyun use kiya jata hai. Agar aapke is jankari se juda koi sawal ya sujhav ho to
aap comment kare.
Comments
Post a Comment